do : ik chamelii ke ma.NDave tale -2
maikade se zaraa duur us mo.D par -2
do badan pyaar kii aag me.n jal ga_e
ik chamelii ke ...
ra : pyaar harf-e-vafaa pyaar unakaa Kudaa -2
pyaar unakii chitaa
do : do badan pyaar kii ...
% harf-e-vafaa: Harf = letter (of alphabet), haruuf, akshar/ axar
os me.n bhiigate chaa.Ndanii me.n nahaate hu_e -2
jaise do taazaa-ru taazaa-dam phuul pichhale pahar -2
Tha.nDii Tha.nDii subuk rau chaman kii havaa -2
sarf-e-maatam hu_ii -3
ra : kaalii-kaalii laTo.n se lipaT garm ruKasaar par
ek pal ke li_e ruk ga_ii
do : do badan pyaar kii ...
% subuk : slow, dhiire; rau: speed; subuk rau havaa: wind flowly softly.
% sarf-e-maatam: to be spent in mourning
o hamane dekhaa unhe.n din me.n aur raat me.n nuur-o-zulmaat me.n -2
ra : masjido.n ke minaaro.n ne dekhaa unhe.n
aa : ma.ndiro.n ke kivaa.Do.n ne dekhaa unhe.n
aa : maikade kii daraa.Do.n ne ( dekhaa unhe.n ) -3
do : do badan pyaar kii ...
ye bataa chaaraagar terii ( za.mbiil me.n ) -2
ra : nusKaa-e-kiimiyaa-e-muhabbat bhii hai
aa : nusKaa-e ...
ra : kuchh ilaaj-o-mudaavaa-e- ( ulfat bhii hai ) -2
do : do badan pyaar kii ...
% nusKaa: formula, kiimiyaa: chemical,
% nusKaa-e-kiimiyaa-e-muhabbat: formula of chemical of love
% ilaaj-o-mudaavaa-e-ulfat: cure for (the illness of ) love
|