piinaa zaruurii hai jiine ke li_e jiinaa zaruurii hai piine ke li_e
Kair ham to sharaab piite hai.n jo nahii.n piite Kaaq jiite hai.n
he jiinaa zaruurii hai -2
jiine ke li_e piinaa oh zaruurii hai piinaa zaruurii hai
piine ki li_e jiinaa-jiinaa taubaa jiinaa zaruurii hai
jiine ke li_e ...
ham ko to bas kaam hai apane hii kaam se
kabhii pii lii botal se kabhii pii lii jaam se -2
farq nahii.n pa.Dataa ko_ii dil kisii naam se
lekin ik hasiinaa zaruurii hai
jiine ke li_e ...
haa.N haa.N bevajah nahii.n Gussaa janaab kaa
naam hai ba.Daa buraa is KaanaaKaraab kaa -2
achchhaa nahii.n piinaa har mausam me.n sharaab kaa
saavan kaa mahiinaa zaruurii hai
piine ke li_e ...
TuuTate hai.n shaq se rishte dil-o-jaan ke
sachche pyaar ko jo chho.D de jhuuThaa pyaar maan ke -2
kahate hai.n ki chehare pe aise insaan ke
sharm kaa pasiinaa zaruurii hai
jiine ke li_e ...
piine ke li_e ...
|