giitaayan An Interface to ISB

duniyaa vaalo.n raam\-siitaa kii ... galii\-galii siitaa ro_e - Chhalia (1960)  

Lyrics: Qamar Jalalabadi | Music: Kalyanji-Anandji | Singer(s): Rafi 
View in Nagari (Hindi)
duniyaa vaalo.n raam-siitaa kii na_ii kahaanii sun lo vaalmiik se Kuub sunii ab merii zubaanii sun lo galii-galii siitaa ro_e aaj mere desh me.n siitaa dekhii raam dekhaa aaj na_e bheSh me.n tumane naam sunaa siitaa kaa mai.n use dekh aayaa huu.N o dharm ke Thekedaaro.n mai.n ek na_ii raamaayaN laayaa huu.N vo siitaa thii raamaayaN kii jiitii jaagatii ruuThe raam se jo khoyaa pyaar maa.Ngatii galii-galii siitaa ro_e ... raam kii liilaa dekh chuke ko_ii usakii liilaa jaane naa raam yahaa.N siitaa yahaa.N par ko_ii pahachaane naa aage ba.Dh ke dekh diivaane tuu hii inakaa raam hai isake dil ko chiir ke dekh liyaa teraa naam hai galii-galii siitaa ro_e ... dharatii phaTii siitaa chhupii kahii.n nazar aaye naa ye vo siitaa hai ki jise dharatii bhii chhupaaye naa ye bhii siitaa vo bhii siitaa fark dekho bhaag me.n vo aag se lauT aa_ii ye hai abhii aag me.n galii-galii siitaa ro_e ... bahan jis bhaa_ii kii hai vo bhii Kafaa ho gayaa maa.N ye kisii laal kii hai vo bhii judaa ho gayaa janak siitaa chho.D de to kahaa.N jaa_e jaanakii maa.N ise pahachaan ke bhii phir nahii.n pahachaanatii galii-galii siitaa ro_e ... kyo.n bharosaa nahii.n isape kyaa ye pyaar jhuuThaa hai bolo-bolo aa.Nsu_o.n kaa kyaa ye haar jhuuThaa hai isakii kathaa jhuuThii hai to jhuuThaa bhagavaan hai jhuuThii hai raamaayaN saarii aur jhuuThaa raam hai dharm jhuuThaa prem jhuuThaa jhuuThaa hindustaan hai deviyo.n pe doSh lage aaj mere desh me.n siitaa to hai raam nahii.n aaj mere desh me.n galii-galii siitaa ro_e ...
View the source file of the song for comments and contributor information.

Home - Submit a Song - Recently Posted Songs


vinay p jain. march 2013. giitaayan at gmail dot com. Disclaimer. ISB Copyright Notice.