giitaayan An Interface to ISB

mahafil se uTh jaanevaalo.n, tum logo.n par kyaa ilzaam - Dooj Ka Chand (1964)  

Lyrics: Sahir | Music: Roshan | Singer(s): Rafi 
View in Nagari (Hindi)
mahafil se uTh jaanevaalo.n, tum logo.n par kyaa ilzaam tum aabaad gharo.n ke bAsI, mai.n aavaaraa aur badanaam mere sAthI, mere sAthI, mere sAthI khaalii jaam mere sAthI khaalii jaam do din tum ne pyaar jataayaa, do din tum se mel rahaa achchhaa khaasaa vaqt kaTaa, aur achchhaa khaasaa khel rahaa hii hii ##(hollow laughter)## achchhaa khaasaa khel rahaa ab us khel kaa fikr hii kaisaa, vakt kaTaa aur khel tamaam mere sAthI ... tum ne Dhuu.NDhii sukh kii daulat, mai.nne paalaa Gam kaa rog kaise banAtaa kaise nibhaataa, ye rishtaa aur ye sa.njog mai.n ne dil ko dil se tolA, tum ne maa.Nge pyaar ke daam mere sAthI ... tum duniyaa ko behatar samajhe, mai.n pAgal khaarakhaar (?) huA tum ko apanA nahii.n nikalaa thA, khud se bhI bezaar rahaa hii hii ##(hollow laughter again) ## khud se bhI bezaar rahaa dekh liyaa barkhaast (?) tamaashaa, jaan liyaa apanaa anjaam mere sAthI ... mere sAthI khaalii jaam
View the source file of the song for comments and contributor information.

Home - Submit a Song - Recently Posted Songs


vinay p jain. march 2013. giitaayan at gmail dot com. Disclaimer. ISB Copyright Notice.