u : ra.ng-bira.ngii duniyaa saarii bhaat-bhaat ke log
mil ke bichha.Danaa bichha.D ke milanaa saaraa hai sa.njog
dekhe jo aise tamaashe ho o
phuuTe hai.n dil me.n bataashe ho o
( duniyaa ke sau ruup saare niraale -2
baiTho na tum aise man ko sambhaale
prem nagariyaa kii tum bhii Dagariyaa chalo
ham to chale sa.ng tum bhii gujariyaa chalo ) -2
tam dhuurak dhuurak nam nam nam tam dhuurak dhuurak namam mam -2
rut ne chunariyaa jo laharaa_ii to laharaa ga_e raaste
a : rut ne chunariyaa jo laharaa_ii to laharaa ga_e raaste
u : har mo.D par hai kahaanii ko_ii tere-mere vaaste
a : raahe.n gaa_e.N
dishaa_e.n guu.Njatii hai.n aur gunagunaatii hai.n
havaa_e.N jo chale.n hamase ye kahate jaatii hai.n
raahii gum ho kahaa.N aa_o-aa_o yahaa.N
a : prem nagariyaa kii tum bhii Dagariyaa chalo
u : ham to chale sa.ng tum bhii gujariyaa chalo
duniyaa ke sau ruup saare niraale -2
baiTho na tum aise man ko sambhaale
a : prem nagariyaa kii tum bhii Dagariyaa chalo
u : ham to chale sa.ng tum bhii gujariyaa chalo
tam dhuurak dhuurak nam nam nam tam dhuurak dhuurak namam mam -2
ko : ho ho o -4
u : o maadho ja_et kahaa.N ho
ko : o maadho kahaa.N jaat ho
hamarii dulhaniyaa jahaa.N ho
u : parabat se jaa ke badariyaa milii kaliyo.n se bha.Nvare mile
a : parabat se jaa ke badariyaa milii kaliyo.n se bha.Nvare mile
u : iThalaatii balakhaatii nadiyaa chalii saagar se milane gale
haule
a : haule
milan ke giit jo laharo.n me.n ghul ke bahate hai.n
u : o miiThii boliyo.n me.n saare pa.nchhii kahate hai.n
rut milan kii hai jo kah rahii hai suno
prem nagariyaa kii Dagariyaa chalo
ham to chale sa.ng tum bhii gujariyaa chalo
a : duniyaa ke sau ruup saare niraale
baiTho na tum aise man ko sambhaale
u : prem nagariyaa kii tum bhii Dagariyaa chalo
ham to chale sa.ng tum bhii gujariyaa chalo
prem nagariyaa kii tum bhii Dagariyaa chalo
a : tam dhuurak dhuurak nam nam nam tam dhuurak dhuurak namam mam
u : tam dhuurak dhuurak nam nam nam tam dhuurak dhuurak namam mam
do : tam dhuurak dhuurak nam nam nam tam dhuurak dhuurak namam mam -2
|