giitaayan An Interface to ISB

sansaar se bhaage phirate ho bhagawaan ko tum kyaa paa_oge - Chitralekha (1964)  

Lyrics: Sahir | Music: Roshan | Singer(s): Lata 
View in Nagari (Hindi)
sa.nsaar se bhaage phirate ho bhagawaan ko tum kyaa paa_oge is log ko bhii apanaa naa sake us lok me.n bhii pachhataa_oge sa.nsaar se bhaage phirate ho ( ye paap hai kyaa ye puNy hai kyaa riito.n par dharm kii mohare.n hai.n ) -2 riito.n par dharm kii mohare.n hai.n har yug me.n badalate dharmo.n ko kaise aadarsh banaa_oge sa.nsaar se bhaage phirate ho ( ye bhog bhii ek tapasyaa hai tum tyaag ke maare kyaa jaano ) -2 tum tyaag ke maare kyaa jaano apamaan rachetaa kaa hogaa rachanaa ko agar Thukaraa_oge sa.nsaar se bhaage phirate ho ( ham kahate hai.n ye jag apanaa hai tum kahate ho jhuuThaa sapanaa hai ) -2 tum kahate ho jhuuThaa sapanaa hai ham janam bitaa kar jaaye.nge tum janam ga.Nvaa kar jaa_oge sa.nsaar se bhaage phirate ho bhagawaan ko tum kyaa paa_oge sa.nsaar se bhaage phirate ho
View the source file of the song for comments and contributor information.

Home - Submit a Song - Recently Posted Songs


vinay p jain. march 2013. giitaayan at gmail dot com. Disclaimer. ISB Copyright Notice.