%Part 1:
%
ji.nd maahiyaa ji.nd maahiyaa mere Dhol sipaahiyaa
pal bhar me.n jaaduu kyaa ho gayaa hai ji.nd maahiyaa
kyaa maine paayaa hai kyaa kho gayaa hai ji.nd maahiyaa
sharm sii aa_e kaise bataa_uu.n
tuu pa.Dh le sajan merii aa.Nkho.n me.n
Dhaa_ii axar prem ke Dhaa_ii axar prem ke ji.nd maahiyaa
rut ne sajaa_ii phuulo.n kii Doliyaa.n
bolo tum bhii bolo kuchh miiThii boliyaa.n
ha.Nse kyuu.n kaajal u.De kyuu.n aa.Nchal mausam ko sab hai pataa
jaane kidhar se chhup ke nazar se dil pe ko_ii likh jaa_e
Dhaa_ii axar prem ke ...
ta.Dapaanaa ghabaraanaa sharamaanaa ishq hai
dilabar kii chaahat me.n mar jaanaa ishq hai
ko_ii naa jaane.n ye sab diivaane.n ishq ne hai sabako maaraa
aag me.n jal gayaa ik paravaanaa kahake jalatii shamaa se
Dhaa_ii axar prem ke ...
%
%Part 2:
%
premii saare maa.nge.n du_aa_e.n pyaar kii
ma.ndir se bhii aa_e.n sadaa_e.n pyaar kii
merii dha.Dakan me.n tere bhii man me.n muurat basii pyaar vaalii
dilavaalo.n kii in rasmo.n ko kasame.n banake nibhaa_e.n
Dhaa_ii axar prem ke ...
%
%Part 3:
%
dil ke Tuka.De bikhare daaman me.n phuuT ke
mar jaa_uu.N ab terii baaho.n me.n TuuT ke
rahaa naa jaa_e sahaa naa jaa_e aaj ke jii bhar ke ro le.n
lagan lagaa_ii agan lagaa_ii ruuh me.n pyaas jagaa_e.n
Dhaa_ii axar prem ke ...
%
%Part 4:
%
aa.nkho.n me.n basaa hai bas cheharaa yaar kaa
saa.nso.n pe hai merii ab paharaa yaar kaa
diivaane aajaa ho aajaa aajaa haay aa_e ba.Dii yaad terii
ban ga_ii terii prem diivaanii aisaa paaTh pa.Dhaa_e.n
Dhaa_ii axar prem ke ...
|