giitaayan An Interface to ISB

jab saamane tum aa jaate ho - Dil Kahin Hosh Kahin (Non-Film) (2000)  

Lyrics: Nida Fazli | Music: Aadesh Srivastava | Singer(s): Jagjit Singh, Asha 
View in Nagari (Hindi)
aa_iinaa dekh ke bole ye sa.nvarane vaale ab to bemaut mare.nge mere marane vaale dekh ke tumako hosh me.n aanaa bhuul ga_e yaad rahe tum aur zamaanaa bhuul ga_e jab saamane tum aa jaate ho kyaa jaaniye kyaa ho jaataa hai kuchh mil jaataa hai kuchh kho jaataa hai kyaa jaaniye kyaa ho jaataa hai chaahaa thaa ye kahe.nge sochaa thaa sochaa thaa vo kahe.nge aa_e vo saamane to kuchh bhii naa kah sake bas dekhaa kiye unhe.n ham dekh kar tujhako yakii.n hotaa hai ko_ii itanaa bhii hasii.n hotaa hai dekh paate hai.n kahaa.n ham tumako dil kahii.n hosh kahii.n hotaa hai jab saamane tum ... aa kar chale na jaanaa aise nahii.n sataanaa de kar ha.Nsii labo.n ko aa.Nkho.n ko mat rulaanaa denaa na bekaraarii dil kaa karaar banake yaado.n me.n kho na jaanaa tum i.ntazaar ban ke i.ntazaar ban ke bhuul kar tumako na jii paa_e.nge saath tum hogii jahaa.n jaa_e.nge ham ko_ii vaqt nahii.n hai.n hamadam jab bulaa_oge chale aa_e.nge jab saamane tum ...
View the source file of the song for comments and contributor information.

Home - Submit a Song - Recently Posted Songs


vinay p jain. march 2013. giitaayan at gmail dot com. Disclaimer. ISB Copyright Notice.