jumme kii raat ho yaa din jummeraat kaa
karake jaanaa gorii vaadaa mulaaqaat kaa
piir kii raat aur din itavaar kaa
kiyaa hai vaadaa maine piyaa tose pyaar kaa
% urdu: piir: Monday, jummeraat: Thursday, jummaa: Friday, itavaar: Sunday
yaad hai gorii teraa chhip chhip ke milanaa
duniyaa kii nazaro.n se bach bach ke chalanaa
ye na puuchho piyaa biitii kaise ratiyaa.n
kar ga_ii.n jaaduu terii niilii a.Nkhiyaa.N
miiThaa miiThaa dard hai nazaro.n ke vaar kaa
kiyaa hai vaadaa maine ...
nikalo na galiyo.n me.n ban Than ke gorii
aisii hii baato.n se khulatii hai chorii
duniyaa ne roke agar tere mere raaste
aa_uu.ngii u.D ke piyaa milane ke vaaste
sa.ng mere tuu hai nahii.n Dar mohe majhadhaar kaa
kiyaa hai vaadaa maine ...
|