giitaayan An Interface to ISB

kab maine ye sochaa thaa ... mere mahabuub mere sanam - Duplicate (1998)  

Lyrics: Javed Akhtar | Music: Annu Malik | Singer(s): Kumar Sanu 
View in Nagari (Hindi)
kab maine ye sochaa thaa kab maine ye jaanaa thaa tum itane badal jaa_oge tum itanaa mujhe chaahoge tum itanaa pyaar karoge tum yuu.n ikaraar karoge mere mahabuub mere sanam shukriyaa meharabaanii karam kab maine ye sochaa ... aa.Nkho.n me.n jo narmii hai pahale to nahii.n thii saa.Nso.n me.n jo garmii hai pahale to nahii.n thii pahale to naa yuu.N chhaa_ii.n thii.n zulfo.n kii ghaTaa_e.n pahale to naa yuu.N mahakii thii.n aa.nchal kii havaa_e.n pahale to nahii.n aatii thii.n tumako ye adaa_e.n aaj kitane hasii.n hai.n sitam shukriyaa meharabaanii ... tum par mere pyaar kaa jaaduu pahale to nahii.n thaa dil jaisaa hai bekaabuu pahale to nahii.n thaa pahale to nahii.n hotii thii.n yuu.n pyaar kii baate.n hairaan huu.N mai.n sun ke sarakaar kii baate.n ikaraar kii baate.n ho.n yaa i.nkaar kii baate.n baat chhe.Dii to hai kam se kam shukriyaa meharabaanii ...
View the source file of the song for comments and contributor information.

Home - Submit a Song - Recently Posted Songs


vinay p jain. march 2013. giitaayan at gmail dot com. Disclaimer. ISB Copyright Notice.