o patthar ke insaan o niitivaan insaan
mamataa kaa ra.ng maidaan jiivan shatara.nj samaan
tuune apane gharvaale mohare banaa Daale
teraa dharm to jiit gayaa tere paas bachaa ab kyaa
band karo ye vaad vivaad kahaa.n siikhaa hai ye tark vitark
mai.n us kul kaa jisame.n hu_aa hai sadaa dharm kaa paalan
aadarsho.n ke saath ba.ndhaa hai meraa saaraa jiivan
mere dharm kii saaxii merii jiivan saathii
ye tumhe.n batalaa_egii
laa.nghii maine laxman rekhaa badalaa nasiib meraa
vachan pati kaa patnii ko giitaa isase bach na sakii ko_ii siitaa
teraa ye vyavahaar kyaa nyaay pe nahii.n prahaar
nahii.n nahii.n
mamataa kaa ra.ng maidaan ...
dharmapiiTh mere ghar se chalii mere purakho.n kii ye den
saty dharm so jaaye bhale so_e.n na mere nain
mere nayano.n ke samaan ye merii santaan
karegii meraa bakhaan
janmii mai.n phuul banake rah ga_ii mai.n shuul banake
pitaa mere parameshvar jaise niiti badalegii kaise
man ro_e nain muskaa_e.n kyaa mar gayaa teraa nyaay
nahii.n nahii.n
mamataa kaa ra.ng maidaan ...
|