giitaayan An Interface to ISB

mai.n ne ik giit likhaa hai - Yeh Nazdikiyaan (1982)  

Lyrics: J P Dixit | Music: Raghunath Seth | Singer(s): Anuradha Paudwal 
View in Nagari (Hindi)
mai.n ne ik giit likhaa hai, jo tumako sunaatii huu.N soye hu_e ra.ngii.n Kvaabo.n ko, saa.Nso.n se sajaatii huu.N ha.Nsate hu_e phuulo.n pe, Thaharii hu_ii shabanam hai yah kaun saa naGamaa hai, yah kaun sii saragam hai ik saaz jo gumasum hai, mai.n usako jagaatii huu.N mai.n ne ik giit likhaa hai ... yah dhuup khaTakatii sii, soye hu_e saaye hai.n kis desh se chal kar yah, is desh me.n aaye hai.n mai.n inakii sadaa banakar us paar se aatii huu.N saa.Nso.n me.n samaatii huu.N mai.n ne ik giit likhaa hai ... ik pyaar kii siharan hai, mad_mast phuhaaro.n me.n ik shokh sharaarat hai, ra.ngiin nazaaro.n me.n is pyaar ke saaGar me.n, maujo.n ko uThaatii huu.N mai.n ne ik giit likhaa hai ...
View the source file of the song for comments and contributor information.

Home - Submit a Song - Recently Posted Songs


vinay p jain. march 2013. giitaayan at gmail dot com. Disclaimer. ISB Copyright Notice.