ab to binaa tumhaare muhabbat ke vatan me.n
yaa ashq barasate hai.n yaa phir aag saavan me.n
ab to binaa tumhaare ...
tum se bichha.D ke dard ke ghero.n me.n aa ga_e
ham roshanii se duur a.ndhero.n me.n aa ga_e
ab jaa ke farq jaanaa judaa_ii me.n milan me.n
ab to binaa tumhaare ...
dushman bane aap hii apanii khushii ke ham
ai dost bin tumhaare bhii dekhe.nge jii ke ham
khud aag lagaa baiThe hai.n ham apane chaman me.n
ab to binaa tumhaare ...
tumako na ko_ii shikavaa kabhii ho nasiib se
ko_ii bhii Gam na guzare tumhaare kariib se
aaye.n tumhaare Gam bhii hamaare nasiib me.n
ab to binaa tumhaare ...
|