giitaayan An Interface to ISB

tumhaarii bhii jay\-jay ... na tum haare na ham haare - Diwana (1955)  

Lyrics: Shailendra | Music: Shankar-Jaikishan | Singer(s): Mukesh 
View in Nagari (Hindi)
tumhaarii bhii jay-jay hamaarii bhii jay-jay na tum haare na ham haare safar saath jitanaa thaa ho hii gayaa na tum haare ... yaad ke phuul ko ham to apane dil se rahe.nge lagaa_e aur tum bhii ha.Ns lenaa jab ye diivaanaa yaad aa_e mile.nge jo phir se milaa de.n sitaare na tum haare ... vaqt kahaa.N rukataa hai to phir tum kaise ruk jaate aaKir kisane chaa.Nd ko chhu_aa hai ham kyo.n haath ba.Dhaate jo us paar ho tum ham is kinaare na tum haare ... thaa to bahut kahane ko lekin ab to chup behatar hai ye duniyaa hai ek saraay jiivan ek safar hai rukaa bhii hai ko_ii kisii ke pukaare na tum haare ...
View the source file of the song for comments and contributor information.

Home - Submit a Song - Recently Posted Songs


vinay p jain. march 2013. giitaayan at gmail dot com. Disclaimer. ISB Copyright Notice.