sha : ( merii pyaarii pata.ng
chalii baadal ke sa.ng ) -2
zaraa dhiire-dhiire ho zaraa haule-haule
de Dhiil de Dhiil o rii sakhii
ko : haay wo kaaTaa wo kaaTaa wo kaaTaa
dekho jii dekho jii
merii pyaarii pata.ng
chalii baadal ke sa.ng
u : ( mere dil me.n uma.ng
bharaa ulfat kaa ra.ng ) -2
zaraa dhiire-dhiire ho zaraa haule-haule
de Dhiil de Dhiil o rii sakhii
ko : haay wo kaaTaa wo kaaTaa wo kaaTaa
dekho jii dekho jii
mere dil me.n uma.ng
bharaa ulfat kaa ra.ng
sha : ( mast jawaanii dekh pukaare.n
do nainaa matawaale
ko : do nainaa matawaale ) -2
sha : ( hai ko_ii aisaa dilawaalaa jo
hamase pe.nch la.Daa le
ko : hamase pe.nch la.Daa le ) -2
sha : dekho pata.ng morii
ga.ngaa ke paar chalii
ko : ga.ngaa ke paar chalii
sha : le ke sandesaa moraa
saajan ke dwaar chalii
ko : saajan ke dwaar chalii
sha : ( pa.nchhii se chhiin liyaa
u.Dane kaa Dha.ng ) -2
ko : zaraa dhiire-dhiire ho zaraa haule-haule
de Dhiil de Dhiil ho rii sakhii
haay wo kaaTaa wo kaaTaa wo kaaTaa
dekho jii dekho jii
merii pyaarii pata.ng
chalii baadal ke sa.ng
u : ( do naino.n ke pe.nch la.De
ek jiitaa aur ek haaraa
ko : ek jiitaa ek haaraa ) -2
u : ( pyaar ne jis dam lii a.nga.Daa_ii
dil ne kahaa wo maaraa
ko : dil ne kahaa wo maaraa ) -2
u : kaisaa ye pe.nch pa.Daa
maa.Njhe kii dhaar ga_ii
ko : maa.Njhe kii dhaar ga_ii
u : aise me.n aa jaa more
saajan mai.n haar ga_ii
ko : saajan mai.n haar ga_ii
u : TuuTe na Dor kahii.n
kahii.n chhuuTe na sa.ng
ko : zaraa dhiire-dhiire ho zaraa haule-haule
de Dhiil de Dhiil ho rii sakhii
haay wo kaaTaa wo kaaTaa wo kaaTaa
dekho jii dekho jii
mere dil me.n uma.ng
bharaa ulfat kaa ra.ng
de Dhiil de Dhiil
de Dhiil de Dhiil
wo kaaTaa wo kaaTaa
wo maaraa
|