giitaayan An Interface to ISB

do ra.ng duniyaa ke aur do raaste - Do Raaste (1969)  

Lyrics: Anand Bakshi | Music: Laxmikant-Pyarelal | Singer(s): Mukesh 
View in Nagari (Hindi)
do ra.ng duniyaa ke aur do raaste -2 do ruup jiiwan ke jiine ke waaste do ra.ng duniyaa ke aur do raaste soch samajh ke paa.Nv rakhe samajhaa do har diiwaane ko -2 ik rastaa mandir ko jaaye ik jaaye maiKaane ko -2 raastaa bhuul na jaaye raahii dhokhaa naa khaaye do ra.ng duniyaa ke aur do raaste do ruup jiiwan ke jiine ke waaste do ra.ng duniyaa ke aur do raaste ek hai.n aise log jo auro.n kii Kaatir jiite hai.n -2 duusare wo jo apanii Kaatir apano.n kaa Kuun bhii piite hai.n -2 ko_ii phuul khilaaye ko_ii kaa.NTe bikharaaye do ra.ng duniyaa ke aur do raaste do ruup jiiwan ke jiine ke waaste do ra.ng duniyaa ke aur do raaste aur do raaste -3
View the source file of the song for comments and contributor information.

Home - Submit a Song - Recently Posted Songs


vinay p jain. march 2013. giitaayan at gmail dot com. Disclaimer. ISB Copyright Notice.