giitaayan An Interface to ISB

hame.n chaahe badanaam ... aa merii nazare hasii.n hai.n - Ek Musafir Ek Hasina (1962)  

Lyrics: Shevan Rizvi | Music: O P Nayyar | Singer(s): Asha 
View in Nagari (Hindi)
hame.n chaahe badanaam kar de zamaanaa magar ham sunaa kar rahe.nge fasaanaa muhabbat chhupaa_o to chhupatii nahii.n hai ye aavaaz roke se rukatii nahii.n hai aa merii nazare hasii.n hai.n ki tum ho hasii.n ye samajhane kii mujhako zaruurat nahii.n baat nazaro.n kii hai baat kuchh bhii nahii.n jisako dil chaahe duniyaa me.n hai vo hasii.n merii nazare hasii.n ... dil ko aanaa thaa ik din kahii.n naa kahii.n -2 dil kii ma.nzil jahaa.N thii rukaa hai vahii.n baat nazaro.n kii ... ye havaa ye samaa chaa.Ndanii raat kaa kyaa bataa_uu.N tujhe ra.ng jazbaat kaa jhaa.Nk kar merii aa.Nkho.n me.n Kud dekh le mu.Nh se kah duu.N to phir kyaa mazaa baat kaa baat nazaro.n kii ... pyaar karanaa pa.Daa dard sahanaa pa.Daa -2 tujhako dekhaa to Kaamosh rahanaa pa.Daa laakh daaman bachaayaa na mai.n bach sakii dil se majabuur ho kar ye kahanaa pa.Daa baat nazaro.n kii ...
View the source file of the song for comments and contributor information.

Home - Submit a Song - Recently Posted Songs


vinay p jain. march 2013. giitaayan at gmail dot com. Disclaimer. ISB Copyright Notice.