sunaa hai insaan ke duHkh dard kaa ilaaj milaa hai
kyaa buraa hai agar ye afavaah u.Daa dii jaa_e
kisii ne sach hii kahaa hai
vo bhuukh se maraa thaa
fuTapaath pe pa.Daa thaa
chaadar uThaa ke dekhaa to peT pe likhaa thaa
saare jahaa.n se achchhaa
saare jahaa.n se achchhaa
hindustaa.n hamaaraa
hindustaa.n hamaaraa
bhuukh lage to chaa.Nd bhii roTii nazar aataa hai
aage hai zamaanaa phir bhii bhuukh piichhe piichhe
saarii duniyaa kii baate.n do roTiyo.n ke niiche
kisii ne sach hii kahaa ...
maa.N patthar ubaalatii rahii ka.Daahii me.n raat bhar
bachche fareb khaa kar chaTaa_ii par so ga_e
chama.De kii jhopa.Diyaa me.n aag lagii bhaiyaa
barakhaa na bujhaa_e bujhaa_e rupaiyaa
kisii ne sach hii kahaa ...
vo aadamii nahii.n muqammal bayaa.n hai
maathe pe usake choT kaa gaharaa nishaa.n hai
ik din milaa thaa mujhako chitha.Do.n me.n vo
maine jo puuchhaa naam kahaa hindustaan hai hindustaan hai
cha.n log duniyaa me.n nasiib leke aate hai.n
baakii bas aate hai.n aur yuu.n hii chale jaate hai.n
jaane kab aate hai.n aur jaane kab jaate hai.n
kisii ne sach hii kahaa ...
ye bastii un logo.n kii bastii hai
jahaa.n har gariib kii hastii ek ek saa.Ns lene ko tarasatii hai
in uu.Nchii imaarato.n me.n ghir gayaa aashiyaanaa meraa
ye amiir mere hisse kaa suuraj bhii khaa ga_e
bhuukh lage to chaa.Nd ...
|