suukhii rut me.n chhaaii badariyaa, chamakii bijuriyaa saath
Duubo tum bhii sa.ng mere, yaa thaamo meraa haath
maulaa saliim chishtii, aaqaa saliim chishtii -2
aabaad kar do dil kii duniyaa saliim chishtii -2
jitanii balaaye.n aaii, sab ko gale lagaayaa -2
khuu.N ho gayaa kalejaa, shikavaa na lab pe aayaa -2
har dard ham ne apanaa, apane se bhii chhupaayaa
har dard ham ne apanaa, haa
har dard ham ne apanaa, apane se bhii chhupaayaa -2
tum se nahii.n hai koii pardaa saliim chishtii
maulaa saliim chishtii ...
jaaegaa kaun aake, pyaasaa tumhaare dar se -2
kuchh jaam se piie.nge, kuchh maharbaa.n nazar se -2
kuchh jaam se piie.nge, haa
kuchh jaam se piie.nge, kuchh maharbaa.n nazar se -2
ek pyaalii bhar ke de saaqii mai-e-gulafaam kii
ek apane naam pii, aur ek allaah naam pii
meT de puurii merii hasarat dil-e-naakaam kii
dede dede dard me.n koii suurat aaraam kii
ghuu.NT hii pilaa magar josh-e-tamannaa Daal kar
ek qataraa de magar qatare me.n dariyaa Daal kar
kuchh jaam se piie.nge, kuchh maharbaa.n nazar se ...
ye sa.ng-e-dar tumhaaraa, to.De.nge apane sar se -2
ye sa.ng-e-dar tumhaaraa, haa
ye sa.ng-e-dar tumhaaraa, to.De.nge apane sar se -2
ye dil agar tumhaaraa TuuTaa saliim chishtii -2
maulaa saliim chishtii ...
is sa.ng-e-dar ke sadaqe, is rahaguzar ke sadaqe
bhaTake hue musaafir, ma.nzil pe pahu.nche aaKir
uja.De hue chaman me.n, ye ra.Ng-e-pairahan me.n
sau ra.Ng muskuraae, sau phuul lailahaae
aaii na_ii bahaare.n, pahalane lagii phuaare.n
Ghuu.NghaT kii laaj rakhanaa, is sar pe taaj rakhanaa
is sar pe taaj rakhanaa
aaqaa saliim chishtii, maulaa saliim chishtii ...
|