aa : shyaam abhimaanii o shyaam abhimaanii
tum to bha_e mathuraa ke raajaa rotii rahii raadhaa raanii
shyaam abhimaanii ...
ra : raajaa hu_aa mai.n auro.n kaa lekin raadhaa mere man kii raanii
aa : achchhaa bataa_o saa.Nvare kaahe chho.Daa gokul gaa.Nv re
jis ba.nsii ke the baavare vo kar ga_ii man me.n ghaav re
banate ho tum diino.n ke bandhuu naarii kii pii.Daa nahii.n jaanii
shyaam abhimaanii ...
ra : merii bansii me.n jitane giit hai.n sab raadhaa ke manamiit hai.n
kab raadhaa alag hai shyaam se vo to ju.D ga_ii hai mere naam se
chandaa me.n jyoti siipo.n me.n motii saagar me.n jaise ho paanii
aa : motii kii baate.n chho.D do dekho TuuTe dil ko jo.D do
ra : o kuchh aisii thii.n majabuuriyaa.N jo ba.Dh ga_ii.n apanii duuriyaa.N
aa : subah kaa bhuulaa sa.ndhyaa ko jo lauTe kahate hai.n sab usako GYaanii
shyaam abhimaanii ...
|