giitaayan An Interface to ISB

bhalaa karane vaale bhalaa_ii ki_e jaa - Ghar Sansaar (1958)  

Lyrics: S H Bihari | Music: Ravi | Singer(s): Rafi 
View in Nagari (Hindi)
bhalaa karane vaale bhalaa_ii ki_e jaa buraa_ii ke badale du_aa_e.N di_e jaa bhalaa karane vaale ... chale aa.Ndhiyaa.N Gam ke tuufaan aa_e.N tere ye qadam Dagamagaane na paa_e.N ghuTe dam to kyaa saa.Ns phir bhii li_e jaa buraa_ii ke badale ... gha.Dii do gha.Dii ke hai.n baadal ye kaale ye din to hameshaa nahii.n rahane vaale sahe jaa sitam aa.Nsu_o.n ko pi_e jaa buraa_ii ke badale ... zamaanaa ha.Nse bhuul aisii na karanaa ye hai buzadilii teraa maranaa ye mat bhuul tuu baap hai aur pati bhii tere saath maasuum zindagii bhii tere baad duniyaa me.n kyaa unakaa hogaa kahaa.N unako jag me.n sahaaraa milegaa unhii.n ke li_e muskaraa ke ji_e jaa buraa_ii ke badale ...
View the source file of the song for comments and contributor information.

Home - Submit a Song - Recently Posted Songs


vinay p jain. march 2013. giitaayan at gmail dot com. Disclaimer. ISB Copyright Notice.