mu : sulajhaa_o na ulajhii zulfo.n ko
ham ulajhan me.n pa.D jaate hai.n
sulajhaa_o na ulajhii ...
aa : yuu.N dekh ke ulajhii nazaro.n se
kyuu.N aap hame.n ulajhaate hai.n
mu : sulajhaa_o na ulajhii ...
ham Duub rahe hai.n mastii me.n aise me.n palake.n jhapakaanaa
aa : Dar hai aa.Nkho.n me.n ban jaa_e na ko_ii afasaanaa
mu : ye pal to guzar jaate hai.n magar
afasaane hii rah jaate hai.n
sulajhaa_o na ulajhii ...
aa : in bahakii baato.n se dekho jii hame.n na bahakaa_o
mu : muddat se yuu.N hii ta.Dapate hai.n ab aur hame.n naa ta.Dapaa_o
aa : ham pyaar kii lambii raaho.n pe
chalane se bhii ghabaraate hai.n
mu : sulajhaa_o na ulajhii ...
|