ek thii la.Dakii merii sahelii
saath palii aur saath hii khelii
phuulo.n jaise gaal the usake
resham jaise baal the usake
ham usako gu.Diyaa kahate the
ra.ngo.n kii pu.Diyaa kahate the
saarii thii mujhe pyaarii thii wo
nanhii.n raajakulaarii thii wo
ek din usane bholepan se
puuchhaa ye paapaa se jaa ke
ab mai.n Kush rahatii huu.N jaise
sadaa hii kyaa Kush rahuu.Ngii aise
paapaa bole merii bachchii
baat bataa_uu.N tujh ko sachchii
kal kii baat naa ko_ii jaane
kahate hai.n ye sabhii siyaane
( ye mat socho kal kyaa hogaa
jo bhii hogaa achchhaa hogaa ) -2
bachapan biitaa aa_ii jawaanii
la.Dakii ban ga_ii ruup kii raanii
##college## me.n iThalaatii phiratii
bal khaatii laharaatii phiratii
ek sundar cha.nchal la.Dake ne
chhup-chhup kar chupake-chupake se
la.Dakii kii tasviir banaa_ii
aur ye kah kar use dikhaa_ii
is par apanaa naam to likh do
chhoTaa saa paiGaam to likh do
la.Dakii pahale to sharamaa_ii
phir man hii man me.n muskaa_ii
ik din usane bholepan se
puuchhaa ye apane saajan se
ab mai.n Kush rahatii huu.N jaise
sadaa hii kyaa Kush rahuu.Ngii aise
usane kahaa kii merii raanii
itanii baat hai maine jaanii
kal kii baat naa ko_ii jaane
kahate hai.n ye sabhii siyaane
( ye mat socho kal kyaa hogaa
jo bhii hogaa achchhaa hogaa ) -3
% part 2
uu.N huu.N -2
ik paradesii duur se aayaa
la.Dakii par haq apanaa jataayaa
ghar waalo.n ne haamii bhar dii
paradesii kii marazii kar dii
pyaar ke waade huye naa puure
rah gaye saare Kaab adhuure
chho.D ke saathii aur hamasaaye
chal dii la.Dakii des paraaye
do baa.Nho.n ke haar ne rokaa
vaado.n kii diiwaar ne rokaa
ghaayal dil kaa pyaar pukaaraa
aa.Nchal kaa har taar pukaaraa
par la.Dakii kuchh mu.Nh se naa bolii
patthar ban kar Gair kii ho lii
ab gumasum hairaan sii hai wo
mujhase bhii anajaan sii hai wo
jab bhii dekho chup rahatii hai
kahatii hai to ye kahatii hai
kal kii baat naa ko_ii jaane
kahate hai.n ye sabhii siyaane
( ye mat socho kal kyaa hogaa
jo bhii hogaa achchhaa hogaa ) -3
|