giitaayan An Interface to ISB

meraa jiivan koraa kaagaz koraa hii rah gayaa - Kora Kaagaz (1974)  

Lyrics: M G Hashmat | Music: Kalyanji-Anandji | Singer(s): Kishore 
View in Nagari (Hindi)
meraa jiivan koraa kaagaz koraa hii rah gayaa jo likhaa thaa jo likhaa thaa aa.Nsuo.n ke sa.ng bah gayaa meraa jiivan ... (ik havaa kaa jho.nkaa aayaa) - (2) TuuTaa Daalii se phuul - (2) naa pavan kii naa chaman kii kisakii hai ye bhuul - (2) kho gaI - (2) khushabuu havaa me.n kuchh na rah gayaa meraa jiivan ... (u.Date pa.nchhii kaa Thikaanaa) - (2) meraa na koii jahaa.N - (2) naa Dagar hai naa khabar hai jaanaa hai mujhako kahaa.N - (2) ban ke sapanaa - (2) hamasafar kaa saath rah gayaa meraa jiivan ... dukh ke andar sukh kii jyotii dukh hii sukh kaa GYaan - (2) dard sah ke janm letaa har koii inasaan - (2) vo sukhii hai - (2) jo khushii se dard sah gayaa meraa jiivan ...
View the source file of the song for comments and contributor information.

Home - Submit a Song - Recently Posted Songs


vinay p jain. march 2013. giitaayan at gmail dot com. Disclaimer. ISB Copyright Notice.