kaaryeshudaasii karNeshuma.ntrii bhojeshumaataa shayaneshura.mbhaa
patnii pati ke li_e de de apanii jaa.n
aurat se ba.Dhake na ko_ii yahaa.n
sukh me.n bhii saath de dukh me.n bhii saath de
ye bane sevikaa premikaa
patnii pati ke li_e ...
tyaag aur samarpaN hai patnii kaa naam
ye pati kii sevaa kare subah-o-shaam
vrat rakhe du_aa de pujaaran bane
sirf prem dhaage se jiivan ba.ndhe
mamataa kii chaa.Ndanii ye aisii roshanii
jo har a.ndheraa miTaa de
ye nayaa ruup hai devii kaa
patnii pati ke li_e ...
jo nahii.n hai patnii to kyaa hai pati
isakii mannato.n kaa silaa hai pati
jo kabhii bhii patnii se dhokhaa kare
vo na zi.ndagii me.n kabhii khush rahe
jisane bhii hai kahii ye baat hai sahii
samajho ise isako jaano
ye to hai su.ndar mallikaa
patnii pati ke li_e ...
|