giitaayan An Interface to ISB

suno jaanaa.N mere pahaluu se mat jaanaa - Hum Sab Ustad Hain (1965)  

Lyrics: Asad Bhopali | Music: Laxmikant-Pyarelal | Singer(s): Kishore 
View in Nagari (Hindi)
suno jaanaa.N suno jaanaa.N mere pahaluu se mat jaanaa agar jaanaa to yuu.N jaanaa judaa sar tan se kar jaanaa suno jaanaa.N ... ye cheharaa kyuu.N chhupaa_e ho ye daaman kyo.n bachaa_e ho zaraa baiTho chale jaanaa ka_ii din me.n to aa_e ho tum ik ra.ngiin dhokhaa ho nahii.n maaluum kyaa-kyaa ho tumhe.n takaliif to hogii gha.Dii bhar ko Thahar jaanaa suno jaanaa.N ... nigaah-e-naaz kii baate.n javaa.N-a.ndaaz kii baate.n abhii to tumase karanii hai.n bahut sii raaz kii baate.n abhii se bevafaa_ii hai duhaa_ii hai duhaa_ii hai mere paas aa_o pahale phir jidhar chaaho udhar jaanaa suno jaanaa.N ... ye aaKir kaisaa vaadaa hai kaho ab kyaa iraadaa hai mujhe dil de ke dil le lo saudaa siidhaa-saadaa hai tumhe.n pahachaanane vaale nahii.n yuu.N maanane vaale kahii.n tum baato.n-baato.n me.n na apanaa kaam kar jaanaa suno jaanaa.N ...
View the source file of the song for comments and contributor information.

Home - Submit a Song - Recently Posted Songs


vinay p jain. march 2013. giitaayan at gmail dot com. Disclaimer. ISB Copyright Notice.