mu : suuraj se jo kiraN kaa naataa saagar se jo laharo.n kaa
vahii hai teraa-meraa rishtaa tuu jaane yaa naa jaane
la : phuul me.n jaise basii ho Kushbuu tuu hai basaa mere man me.n
pyaar teraa hai jiivan meraa tuu maane yaa naa maane
mu : suuraj se jo kiraN ...
pahalii baar tujhe dekhaa to ham aise sudh-budh bhuule
la : ho jaise saavan kii pahalii puravaa_ii dharatii ko chhuu le
dharatii se jo niilagagan kaa saavan se jo puravaa_ii kaa
mu : suuraj se jo kiraN ...
la : do din kii dekhaa-dekhii me.n yug-yug ke man-miit mile
mu: tum bole do bol se mujhako janam-janam ke giit mile
taar se jo jha.nkaar kaa naataa giito.n se jo saragam kaa
la : suuraj se jo kiraN ...
mu : vahii hai teraa-meraa ...
do : suuraj se jo kiraN ...
|