giitaayan An Interface to ISB

haay taubaa\-taubaa ye javaanii ... ye maanaa merii jaa.N - Hanste Zakhm (1973)  

Lyrics: Kaifi Azmi | Music: Madan Mohan | Singer(s): Rafi, Balbeer 
View in Nagari (Hindi)
ra : haay taubaa-taubaa ye javaanii ye javaanii kaa Guruur ishq ke saamane sar phir bhii jhukaanaa hii pa.Daa kaise kahate the naa aa_e.Nge naa aa_e.Nge magar dil ne is tarah pukaaraa tumhe.n aanaa hii pa.Daa ye maanaa merii jaa.N mohabbat sazaa hai -2 mazaa isame.n itanaa magar kisali_e hai -2 vo ik beqaraarii jo ab tak idhar thii vo hii beqaraarii udhar kisali_e hai ko : abhii tak to idhar thii udhar kisali_e hai -2 ra : haa.N ye maanaa merii jaa.N ... bahalanaa na jaane badalanaa na jaane tamannaa machal ke sa.mbhalanaa na jaane -2 ko : bahalanaa na jaane badalanaa na jaane ba : haay tamannaa machal ke sa.mbhalanaa na jaane ko : ho ho bahalanaa na jaane badalanaa na jaane ba : tamannaa machal ke sa.mbhalanaa na jaane ko : haa.N tamannaa machal ke sa.mbhalanaa na jaane ra : qariib aur aa_o qadam to ba.Dhaa_o jhukaa duu.N na sar to ye sar kisali_e hai -2 ra : haa.N ye maanaa merii jaa.N ... nazaare bhii dekhe ishaare bhii dekhe ka_ii Kuubasuurat sahaare bhii dekhe -2 ko : nazaare bhii dekhe ishaare bhii dekhe ka_ii Kuubasuurat ba : haa.N sahaare bhii dekhe ra : naam kyaa chiiz hai izzat kyaa hai sone chaa.Ndii kii haqiiqat kyaa hai laakh bahalaa_e ko_ii daulat se pyaar ke saamane daulat kyaa hai ko : ho ho nazaare bhii dekhe ishaare bhii dekhe ba : haay ka_ii Kuubasuurat sahaare bhii dekhe -2 ko : ka_ii Kuubasuurat sahaare bhii dekhe ra : jo maiKaane jaa kar mai.n saagar uThaa_uu.N to phir ye nashiilii nazar kisali_e hai -2 ra : haa.N ye maanaa merii jaa.N ... tumhii.n ne sa.Nvaaraa tumhii.n ne sajaayaa mere suune dil ko tumhii.n ne basaayaa -2 ko : tumhii.n ne sa.Nvaaraa tumhii.n ne sajaayaa mere suune dil ko tumhii.n ne basaayaa -2 ra : jis chaman se bhii tum guzar jaa_o har kalii par nikhaar aa jaa_e ruuTh jaa_o to ruuTh jaa_e Kudaa aur jo ha.Ns do to bahaar aa jaa_e ko : ho ho tumhii.n ne sa.Nvaaraa tumhii.n ne sajaayaa ba : haay mere suune dil ko tumhii.n ne basaayaa ko : mere suune dil ko tumhii.n ne basaayaa ra : tumhaare hii dam se hai ghar me.n ujaalaa agar tum nahii.n to ye ghar kisali_e hai -2 ra : haa.N ye maanaa merii jaa.N ...
View the source file of the song for comments and contributor information.

Home - Submit a Song - Recently Posted Songs


vinay p jain. march 2013. giitaayan at gmail dot com. Disclaimer. ISB Copyright Notice.