dushman naa kare dost ne vo kaam kiyaa hai
ki dostii ke naam ko badanaam kiyaa hai
baraso.n puraanaa ye yaaraanaa ek pal me.n kyo.n TuuTaa
yaar mere tuu aise ruuThaa ( jaise meraa rab ruuThaa ) -2
baraso.n puraanaa ...
teraa jahaa.N bhii giraa pasiinaa maine Kuun bahaayaa
teraa lahuu banaa kyo.n paanii ye kaisaa din aayaa
vo terii dostii thii merii zindagii
banake pujaarii pyaar me.n tuune pyaar kaa ma.ndir luuTaa
jaise meraa rab ruuThaa
baraso.n puraanaa ...
laharo.n par jyo.n gire lakiire.n TuuTii qasme.n saarii
ret kii ik diivaar thii mere yaar kii jhuuThii yaarii
ye sitam kyaa hu_aa kyaa lagii bad_du_aa
jism se jaise jaan judaa ho saath teraa yuu.N chhuuTaa
jaise meraa rab ruuThaa
baraso.n puraanaa ...
|