giitaayan An Interface to ISB

biite nahii.n raat sanam karo ko_ii baat sanam - Hum Matwale Naujawan (1961)  

Lyrics: Majrooh | Music: Chitragupt | Singer(s): Mukesh, Geeta 
View in Nagari (Hindi)
gii : biite nahii.n raat sanam karo ko_ii baat sanam duniyaa so_e hame.n nii.nd laage naa mu : mile bhii to duur se ham ko_ii dekhe ye sitam mai.n to jaaguu.N merii taqadiir jaage naa maano sanam kaTegii ye raat nahii.n jo hamii.n saath nahii.n gii : kyaa hu_aa jo teraa meraa saath nahii.n ye ko_ii baat nahii.n mu : naa bano jii diye dete hai.n gavaahii tere nainaa gii : biite nahii.n raat sanam ... khi.Dakii khulii chandaa nazar aa hii gayaa mujhe ta.Dapaa hii gayaa mu : naam teraa zubaa.N par laharaa hii gayaa lab tak aa hii gayaa gii : jo labo.n pe hai vo kah de jo hai dil me.n vo na kahanaa mu : mile bhii to duur se ... raat Dhalii chaa.Ndaniyaa.n zard bhii hai ye havaa sard bhii hai gii : haa.N ai piyaa havaa zaraa sard bhii hai dil me.n kuchh dard bhii hai mu : na kahaa thaa merii jaa.n hamase kabhii duur na rahanaa gii : biite nahii.n raat sanam ...
View the source file of the song for comments and contributor information.

Home - Submit a Song - Recently Posted Songs


vinay p jain. march 2013. giitaayan at gmail dot com. Disclaimer. ISB Copyright Notice.