giitaayan An Interface to ISB

haay kaahe ko bulaayaa mujhe baalamaa - Humshakal (1974)  

Lyrics: Anand Bakshi | Music: R D Burman | Singer(s): Rafi, Lata 
View in Nagari (Hindi)
la : haay haay kaahe ko bulaayaa mujhe baalamaa pyaar ke naam se -2 kaahe ko bulaayaa ... ra : raadhaa ne yahii puuchhaa thaa ek din ruuTh kar shaam se -2 la : jaa tose boluu.N naa ghuu.NghaTaa kholuu.N naa Doluu.N naa mai.n sa.ng tere -2 ra : roz jo tum ruuThogii aise guzare.nge din mere kaise jiine nahii.n degaa mujhe chaar din ( pyaar aaraam se ) -2 la : kaahe ko bulaayaa ... ra : kaalii ghaTaa_o.n me.n Tha.nDii havaa_o.n me.n aa_o kahe.n haal dil kaa -2 la : o pyaar me.n din to Dhal jaataa hai raat kaa jaaduu chal jaataa hai jiyaa lagataa hai dha.Dakane piyaa ( aajakal shaam se ) -2 ra : raadhaa ne yahii ... la : taubaa mai.n kyaa karuu.N -2 badanaamii se Daruu.N mohe ba.Dii laaj aa_e ra : hamane ko_ii kii hai chorii pyaar kiyaa hai hamane gorii logo.n se jo ham aise Darane lage ( to ga_e kaam se ) -2 la : kaahe ko bulaayaa ... ra : raadhaa ne yahii ...
View the source file of the song for comments and contributor information.

Home - Submit a Song - Recently Posted Songs


vinay p jain. march 2013. giitaayan at gmail dot com. Disclaimer. ISB Copyright Notice.