Kataa nahii.n
merii kuchh Kataa nahii.n
Kaamosh rah naa sakaa
naa jaane kyo.N pataa nahii.n
ab magar
ye puuraa hu_aa hai qahar
apanii hai shaam-o-sahar
bhiigii hai phir kyo.n nazar
( in hawaa_o me.n paa.Nv rakh kar ham aaj u.Dane lage
haath ye jo uThe yahaa.N ka_ii Kaab ju.Dane lage ) -2
a.ndhero.n ko chiir ke aaj roshanii ye chalii
apano.n ne girah khol dii duniyaa lage bhalii
Kushiyaa.N barasatii hai.n yahaa.N sab dukh puraane lage
yuu.N musakuraane kii chaah me.n kitane zamaane lage
sahamii hu_ii
muraade.n ka_ii pahanii hu_ii
khoyaa hai saaraa jahaa.N
kaisii ye berahamii hu_ii
jii gaye
dekhaa tujhe to ham jii gaye
nazaro.n se chhuu ke tujhe
hazaaro.n Gam sii gaye
( jism se aaj ruuh tak tujhame.n samaa jaaye.nge
faasalo.n ko miTaa ke ham duniyaa basaa jaaye.nge ) -2
( a.ndhero.n ko chiir ke aaj roshanii ye chalii
apano.n ne girah khol dii duniyaa lage bhalii
Kushiyaa.N barasatii hai.n yahaa.N sab dukh puraane lage
yuu.N musakuraane kii chaah me.n kitane zamaane lage ) -3
|