giitaayan An Interface to ISB

mere Kvaabo.n me.n Kayaalo.n me.n chhupe - Honeymoon (1960)  

Lyrics: Shailendra | Music: Salil Chowdhury | Singer(s): Mukesh, Lata 
View in Nagari (Hindi)
mere Kvaabo.n me.n Kayaalo.n me.n chhupe ek din miit mere merii galii aap chale aa_e.nge kabhii to hogii bahaaro.n kii nazar aa_egii aisii lahar aarzuu ke phuul muskuraa_e.nge mai.n unakii ra.Ng bharii yaad li_e kho saa gayaa unakaa har zikr meraa ek nayaa giit banaa mere giito.n ke machalate hue svar unake aa.Ngan me.n utar unhe.n mere paas khii.nch laa_e.nge hiran kii ban rahii hai chaal ye mad.hhosh nazar vo mere paas hai.n duniyaa kii nahii.n mujhako khabar duur duniyaa se zamaane se pare chaa.Nd taaro.n ke tale ham bhii ek aashiyaa.N banaa_e.nge yakiin hai mujhako meraa pyaar na ruuThegaa kabhii saaz-e-dil kaa koii bhii taar na TuuTegaa kabhii dil ke is taar kii jhanakaar ke sa.ng ba.Dhate-ba.Dhate ye kadam ma.Nzilo.n ko khud hii pahu.Nch jaa_e.nge
View the source file of the song for comments and contributor information.

Home - Submit a Song - Recently Posted Songs


vinay p jain. march 2013. giitaayan at gmail dot com. Disclaimer. ISB Copyright Notice.