merii mamataa me.n ho aisaa asar raam kare raam kare
tujhe lag jaa_e merii umar raam kare raam kare
sapanaa mai.n dekhuu.n yahii har gha.Dii
bane ek din tuu sahaaraa meraa
duniyaa ke saagar kii kashtii huu.N mai.n
bane ek din tuu kinaaraa meraa
tere sa.ng guzare.n shaam-o-sahar
raam kare ...
terii ha.Nsii hai merii zi.ndagii
tere aa.Nsuu jo dekhuu.n to mar jaa_uu.n mai.n
tere kaa.Ndhe pe jaa_e arthii merii
kuchh aisii du_aa ab kar jaa_uu.n mai.n
tujhe dekhe hameshaa merii nazar
raam kare ...
|