giitaayan An Interface to ISB

teraa saath hai itanaa pyaaraa ... hame.n aanaa pa.Degaa duniyaa me.n dubaaraa - Jaanbaaz (1986)  

Lyrics: Indeevar | Music: Kalyanji-Anandji | Singer(s): Kishore, Sapana Awasthi 
View in Nagari (Hindi)
teraa saath hai itanaa pyaaraa -2 kam lagataa hai jiivan saaraa tere milan kii lagan me.n hame.n aanaa pa.Degaa duniyaa me.n dubaaraa -2 maine tan man tujh par vaaraa pyaas bujhii na karake nazaaraa tere milan kii lagan ... jitanii tujhame.n hai adaa ( utanii hii vafaa ) -2 jitanaa jahaa.n me.n pyaar hai ( tujhase mujhe milaa ) -2 ba.Dhatii hii jaa_e betaabii ba.Dhatii jaa_e ye betaabii jitanaa karuu.n nazaaraa hame.n aanaa pa.Degaa ... pyaar ke ek ek pal pe hai.n ( sau jiivan qurbaan ) -2 pyaar kabhii marataa nahii.n ( marate hai.n insaan ) -2 pyaar usii kaa jiivan hai jo tere saath guzaaraa hame.n aanaa pa.Degaa ...
View the source file of the song for comments and contributor information.

Home - Submit a Song - Recently Posted Songs


vinay p jain. march 2013. giitaayan at gmail dot com. Disclaimer. ISB Copyright Notice.