giitaayan An Interface to ISB

mere nasiib me.n ai dost teraa pyaar nahii.n - Do Raaste (1969)  

Lyrics: Anand Bakshi | Music: Laxmikant-Pyarelal | Singer(s): Kishore 
View in Nagari (Hindi)
khizA ke phuul pe AtI kabhI bahaar nahii.n mere nasiib me.n ai dost, terA pyaar nahii.n mere nasiib me.n ai dost, terA pyaar nahii.n ... nA jAne pyaar me.n kab mai.n, zubaa.n se phir jaaU.n mai.n banake aa.Nsuu khud apanii, nazar se giir jaaU.n terI qasam hai meraa koI, aitabaar nahii.n mere nasiib me.n ... mai.n roz lab pe naI ek, aah rakhataa huu.N mai.n roz ek naye Gam kii raah takataa huu.N kisii khushii kA mere dil ko, intazaar nahii.n mere nasiib me.n ... gariib kaise mohabbat, kare amiiro.n se bichha.D gaye hai.n ka_ii raa.njhe, apanii hIro.n se kisii ko apane muqaddar pe, ikhtiyaar nahii.n mere nasiib me.n ... khizA ke phuul pe AtI kabhI bahaar nahii.n mere nasiib me.n ai dost, terA pyaar nahii.n
View the source file of the song for comments and contributor information.

Home - Submit a Song - Recently Posted Songs


vinay p jain. march 2013. giitaayan at gmail dot com. Disclaimer. ISB Copyright Notice.