merii bhiigii-bhiigii sii, palako.n pe rah gae
jaise mere sapane bikhar ke
jale man teraa bhii, kisii ke milan ko
anaamikaa, tuu bhii tarase
merii bhiigii ...
tujhe bin jaane, bin pahachaane
mai.nne hR^iday se lagaayaa
par mere pyaar ke badale me.n tuune
mujhako ye din dikhalaayaa
jaise birahaa kii R^itu mai.nne kaaTii
ta.Dapake aa.Nhe.n bhar-bhar ke
jale man teraa ...
aag se naataa, naarii se rishtaa
kaahe man samajh na paayaa
mujhe kyaa huaa thaa, ik bevafaa se
haay mujhe kyo.n pyaar aayaa
terii bevafaa_ii pe, ha.Nse jag saaraa
galii-galii guzare jidhar se
jale man teraa ...
|