giitaayan An Interface to ISB

merii nii.ndo.n me.n tum, mere Kvaabo.n me.n tum - Nayaa Andaaz (1956)  

Lyrics: Jaan Nisar Akhtar | Music: O P Nayyar | Singer(s): Kishore, Shamshad 
View in Nagari (Hindi)
ki: (merii nii.ndo.n me.n tum, mere Khvaabo.n me.n tum ho chuke ham tumhaarii muhabbat me.n gum ) - 2 sh: (man kii biinaa kii dhun, tuu balam aaj sun merii nazaro.n ne tujhako liyaa aaj chun ) - 2 man kii biinaa kii dhun, tuu balam aaj sun sh: (mere dil kii lagii tuu, merii zindagii tuu merii har nazar hai terii daastaa.N ) - 2 ki: (mere dil kii bahaare.n tumhii.n ko pukaare.n tumhii.n se hai aabaad meraa jahaa.N ) - 2 sh: tuu meraa naaz hai, meraa a.ndaaz hai, dil kii aavaaz hai ki: merii nii.ndo.n me.n tum ... sh: (dil pe chhaaii Khushii hai, labo.n par ha.Nsii hai khilii hai tere pyaar kii chaa.Ndanii) - 2 ki: (jhuumatii hai nigaahe.n nashaa chhaa rahaa hai ki dil gaa rahaa hai terii raaginii) - 2 sh: haule-haule sajan meraa kahataa hai man ab to laagii lagan ki: merii nii.ndo.n me.n tum ... sh: (tum mere ho gae ho to ye chaa.Nd-taare ye saare nazaare mere ho gae) - 2 ki: (dil huaa hai diiwaanaa samaa.N hai suhaanaa kahe.n kyaa, tere pyaar me.n kho gae) - 2 sh: raat gaane lagii, gunagunaane lagii, nii.nd chhaane lagii ki: merii nii.ndo.n me.n tum ...
View the source file of the song for comments and contributor information.

Home - Submit a Song - Recently Posted Songs


vinay p jain. march 2013. giitaayan at gmail dot com. Disclaimer. ISB Copyright Notice.