giitaayan An Interface to ISB

mubaarak ho sab ko samaa ye suhaanaa (mai.n to diivaanaa diivaanaa) - Milan (1967)  

Lyrics: Anand Bakshi | Music: Laxmikant-Pyarelal | Singer(s): Mukesh 
View in Nagari (Hindi)
mubaarak ho sab ko samaa ye suhaanaa mai.n khush huu.N mere aa.Nsuo.n pe na jaanaa mai.n to diivaanaa diivaanaa diivaanaa - 2 hazaaro.n tarah ke ye hote hai.n aa.Nsuu agar dil me.n Gam ho to rote hai.n aa.Nsuu khushii me.n bhii aa.Nkhe.n bhigote hai.n aa.Nsuu inhe.n jaan sakataa nahii.n ye zamaanaa mai.n khush huu.N mere aa.Nsuo.n pe na jaanaa mai.n to diivaanaa diivaanaa diivaanaa - 2 ye shahanaaiyaa.N de rahii hai.n duhaaI koii chiiz apanii huii hai paraaI kisii se milan hai kisii se judaaii nae rishto.n ne to.Daa naataa puraanaa mai.n khush huu.N mere aa.Nsuo.n pe na jaanaa mai.n to diivaanaa diivaanaa diivaanaa - 2
View the source file of the song for comments and contributor information.

Home - Submit a Song - Recently Posted Songs


vinay p jain. march 2013. giitaayan at gmail dot com. Disclaimer. ISB Copyright Notice.