har taraf husn aur javaanii hai, aajakii raat kyaa suhaanii hai
reshamii jism tharatharaate hai.n, maramarii ho.nTh gunagunaate hai.n
dha.Dakano.n mai.n suruur phailaa hai, ra.ng najadiik-o-duur phailaa hai
daavat-e-ishq de rAhI hai fazaa, aaj ho jaa kisii hasii.n pe fidaa
ki: muhabbat ba.De kaam kii chiiz hai, kaam kii chiiz hai
muhabbat ke dam se hai duniyaa ye roshan
muhabbat nA hotI to kuchh bhI naa hotA
najar aur dil kii panaaho.n kii khaatir
ye jannat nA hotI to kuchh bhI naa hotaa
yahii ek aaraam kii chiiz hai, kaam kii chiiz hai
muhabbat ba.De kaam kii chiiz hai, kaam kii chiiz hai
ye: kitaabo.n me.n chhapate hai, chaahat ke kisse
haqIkat kii duniyA me.n chaahat nahii.n
zamaane ke baazaar me.n, ye vo shah hai
ke jisakii kisIko, zaruurat nahii.n hai
ye bekaar bedaam kii chiiz hai, naam kii chiiz hai
ki: ye kudarat ke Inaam kii chiiz hai
muhabbat se itanaa khafaa hone vaale
chal aa aaj tujhako muhabbat sikhaa de
teraa dil jo baraso.n se viiraa.n pa.Daa hai
kisii nAzaniinaa.n ko isame basaa de.n
meraa mashavaraa kaam kii chiiz hai, kaam kii chiiz hai
muhabbat ba.De kaam kii chiiz hai, kaam kii chiiz hai
|