kaun apanaa kaun paraayaa -2
duniyaa kaa ye bhed abhii tak ko_ii samajh nahii.n paayaa
jiivan kii naiyaa me.n sabhii hai.n raahii ik ma.nzil ke
inhii.n me.n man ke miit mile.nge inhii.n me.n dushman dil ke
kisii ke dil me.n bharii hai nafarat kisii me.n pyaar kii maayaa
kaun apanaa ...
bichha.De log bhii mil jaate hai.n kabhii-kabhii jiivan me.n
Kushii kii lahare.n bhii uThatii hai.n kisii ke dukhiyaa man me.n
kabhii kisii ne khoyaa jag me.n kabhii kisii ne paayaa
kaun apanaa ...
ko_ii muurakh ban ke begaanaa apano.n ko Thukaraa_e
ko_ii kisii kii Kushii ke kaaraN raste se haT jaa_e
ko_ii kinaaraa chho.D ke Dhuu.NDhe tuufaano.n kaa saayaa
kaun apanaa ...
|