giitaayan An Interface to ISB

saajanaa din bahure hamaare - Khel (1950)  

Lyrics: Aarzoo Lakhnavi | Music: Sajjad Hussain | Singer(s): Geeta 
View in Nagari (Hindi)
saajanaa din bahure hamaare -2 pyaase aa pahu.Nche nadiyaa kinaare saajanaa din bahure hamaare kaamanaa_o.n me.n bechainii aa_ii -2 man kii komal kalii musakaa_ii ham kahaa.N tum kahaa.N -2 aur ye pyaaraa samaa.N ha.Nse Kaabo.n ke chamake sitaare saajanaa din bahure hamaare ( khel chaahat kaa khel ye hai man kii kulel ba.De itanaa to mel ) -2 manjhe cha.Dh jaaye bel -2 tum hamaare bano.n ham tumhaare saajanaa din bahure hamaare phir kahaa.N aisii raate.n suhaanii -2 phir kahaa.N ye machalatii jawaanii man kii maujo.n me.n zor -2 prem-nadiyaa kaa shor aaj mil jaaye.n do bahate dhaare saajanaa din bahure hamaare -2 saajanaa
View the source file of the song for comments and contributor information.

Home - Submit a Song - Recently Posted Songs


vinay p jain. march 2013. giitaayan at gmail dot com. Disclaimer. ISB Copyright Notice.