dil kaa afasaanaa sunaate hai.n sunaane vaale
kaash samajhe.n naa mohabbat ko miTaane vaale
pyaar kaa naam bhii lete hu_e Dar lagataa hai
tiir khe.nche hu_e baiThe hai.n zamaane vaale
chale.nge tiir jab dil par to aramaano.n kaa kyaa hogaa
tuTegaa ghar to phir is ghar ke mehamaano.n kaa kyaa hogaa
sunaa hai ishq me.n aate hai.n din aaho.n ke naalo.n ke
abhii tak to salaamat hai garebaa.N ishq vaalo.n ke
agar fasal-e-bahaar aa_ii to diivaano.n kaa kyaa hogaa
chale.nge tiir jab ...
uThaa hai shor-e-maatam shamaa tere jaa.N-nisaaro.n me.n
abhii to dil hii jalate hai.n mohabbat ke sharaaro.n me.n
kisii ne par jalaa Daale to paravaano.n kaa kyaa hogaa
chale.nge tiir jab ...
adhuure hai.n abhii puure nahii.n kisse mohabbat ke
abhii to dil me.n poshiidaa.N hai.n afasaane qayaamat ke
haqiiqat ho ga_ii zaahir to afasaano.n kaa kyaa hogaa
chale.nge tiir jab ...
sunaa hai jaam-e-ulfat me.n balaa kaa josh hai saaqii
abhii to dil hai qaabuu me.n abhii to hosh hai baaqii
agar pii kar bahak uThe to mastaano.n kaa kyaa hogaa
chale.nge tiir jab ...
|