hazaaro.n saal se insaa.N kaa dil aa.Nsuu bahaataa hai
hazaaro.n saal se ko_ii masiihaa ban ke aataa hai
vo masiihaa aayaa hai
bahut dino.n Gam ne hame.n ta.Dapaayaa hai
kaa.NTo.n me.n parvat ko dekh rahaa hai phuul bahaaro.n kaa
vo ek akelaa hai jisake dil me.n dard hazaaro.n kaa
vo ek akelaa masiihaa aayaa hai
davaa sabhii biimaaro.n kii laayaa hai
vo masiihaa aayaa ...
lo vo aage chal nikalaa hai tum usake piichhe ho jaa_o
yaa pahu.Ncho apanii ma.nzil pe yaa in raaho.n me.n kho jaa_o
qasam uThaa ke usane qadam uThaayaa hai
vo masiihaa aayaa ...
( Dar Kauf bharam ) -2 sab haar ga_e i.nsaan kii fitarat jiit ga_ii
jaago dekho kholo aa.Nkhe.n vo raat dukho.n kii biit ga_ii
uTho kisii ne nii.nd se tumhe.n jagaayaa hai
vo masiihaa aayaa ...
|