giitaayan An Interface to ISB

raat ko chupake se ... mai.n chaahuu.N sapano.n me.n bas saath tumhaaraa - Khwahish (2003)  

Lyrics: Faiz Anwar | Music: Milind Sagar | Singer(s): Asha 
View in Nagari (Hindi)
raat ko chupake se aataa hai ik farishtaa kuchh Kushiyo.n ke lamhe laataa hai ik farishtaa kahataa hai sapano.n ke aaGosh me.n kho jaa_o tum bhuul ke Gam saare chupake se so jaa_o mai.n muu.Nd ke palako.n ko jaane kab so jaatii huu.N anajaanii nagarii me.n kahii.n gum ho jaatii huu.N mai.n chaahuu.N sapano.n me.n bas saath tumhaaraa ho -2 ( in mere haatho.n me.n ) -2 haath tumhaaraa ho mai.n chaahuu.N sapano.n me.n bas saath tumhaaraa ho giito.n kii rimajhim me.n chaahat ke mausam me.n tum hamase milate ho ham tumase milate hai.n din-raat badalate hai.n haalaat badalate hai.n har ik pal har ik lamhaa ham sa.ng-sa.ng chalate hai.n phir subah hotii hai aur TuuTate hai.n sapane naa jaane aise kyo.n ruuThate hai.n sapane tum tanahaa rahate ho mai.n tanahaa rahatii huu.N ek baar nahii.n sau baar mai.n phir bhii kahatii huu.N mai.n chaahuu.N sapano.n me.n bas saath tumhaaraa ho anajaanii raaho.n me.n jiivan kii baa.Nho.n me.n kabhii sukh bhii milate hai.n kabhii dukh bhii milate hai.n kal kisane dekhaa hai kal kisane jaanaa hai taqadiir ke ye afasaane ham sabako chhalate hai.n kabhii Kvaahish is dil kii yahaa.N puurii hotii hai kabhii Kvaahish is dil kii dil me.n hii rahatii hai pal-pal ye safar lekin chalataa hii rahataa hai har saa.Ns me.n ek ra.ng nayaa bharataa hii rahataa hai mai.n chaahuu.N sapano.n me.n bas saath tumhaaraa ho -2 ( in mere haatho.n me.n ) -2 haath tumhaaraa ho mai.n chaahuu.N sapano.n me.n bas saath tumhaaraa ho mai.n chaahuu.N sapano.n me.n
View the source file of the song for comments and contributor information.

Home - Submit a Song - Recently Posted Songs


vinay p jain. march 2013. giitaayan at gmail dot com. Disclaimer. ISB Copyright Notice.