giitaayan An Interface to ISB

mujh se pahalii sii mohabbat, mere mahabuub, na maa.Ng - Qaidi (Pakistan) (1962)  

Lyrics: Faiz Ahmed Faiz | Music: Rashid Attre | Singer(s): Noorjehan 
View in Nagari (Hindi)
mujh se pahalii sii mohabbat, mere mahabuub, na maa.Ng - 4 mai.nne samajhaa thaa ke tuu hai to daraKshaa.n hai hayaat teraa Gam hai to Gam-e-dahar kaa jhaga.Daa kyaa hai terii suurat se hai aalam me.n bahaaro.n ko sabaat terii aa.Nkho.n ke sivaa duniyaa me.n rakhaa kyaa hai - 2 tuu jo mil jaae to taqadiir nigo.n ho jaae yuu.N na thaa, mai.nne faqat chaahaa thaa yuu.N ho jaae % aur bhii dukh hai.n zamaane me.n mohabbat ke sivaa % raahate.n aur bhii hai.n vasl kii raahat ke sivaa mujh se pahalii sii mohabbat, mere mahabuub, na maa.Ng anaginat sadiyo.n ke taariik bahimaanaa talism resh-o-aThalas-o-kamaKaab-o-baazaar me.n jism Kaak me.n lita.De hue Kuun me.n nahalaae hue % jism nikale hue amaraaz ke tanavvuro.n se % piip bahatii huii galate hue naasuuro.n se lauT jaatii hai idhar ko bhii nazar kyaa kiije ab bhii dilakash hai teraa husn, maGar kyaa kiije - 2 aur bhii dukh hai.n zamaane me.n mohabbat ke sivaa raahate.n aur bhii hai.n vasl kii raahat ke sivaa mujh se pahalii sii mohabbat, mere mahabuub, na maa.Ng
View the source file of the song for comments and contributor information.

Home - Submit a Song - Recently Posted Songs


vinay p jain. march 2013. giitaayan at gmail dot com. Disclaimer. ISB Copyright Notice.