ki : kabake bichha.De hu_e ham aaj kahaa.N aa ke mile
aa : jaise shammaa se kahii.n lau ye jhilamilaa ke mile
ki : kabake bichha.De ...
aa : ( jaise saavan ) -3 se kahii.n pyaasii ghaTaa aa ke mile
do : kabake bichha.De ...
aa : baad muddat ke raat mahakii hai
ki : dil dha.Dakataa hai saa.Ns bahakii hai
aa : pyaar chhalakaa hai pyaasii aa.Nkho.n se
surK ho.nTho.n pe aag dahakii hai
o mahakii havaa_o.n me.n bahakii fizaa_o.n me.n do pyaase dil yuu.N mile -2
ki : ( jaise mayakash ) -3 ko_ii saaqii se Dagamagaa ke mile
do : ( kabake bichha.De ) -3 hu_e ...
aa : duur shahanaa_ii giit gaatii hai
ki : dil ke taaro.n ko chhe.D jaatii hai -2
aa : yuu.N sapano.n ke phuul yahaa.N khilate hai.n
yuu.N du_aa dil kii ra.ng laatii hai -2
ki : baraso.n ke begaane ulfat ke diivaane anajaane aise mile -2
aa : ( jaise manachaahii ) -3 du_aa baraso.n aajamaa ke mile
ki : kabake bichha.De ...
aa : jaise saavan ...
do : kabake bichha.De ...
|