he he chaar paise kyaa mile
kyaa mile bha_ii kyaa mile
vo Kud ko samajh baiThe Kudaa
vo Kudaa hii jaane ab hogaa teraa a.njaam kyaa
( kaahe paise pe ) -2 itanaa ( Guruur kare hai ) -2
( yahii paisaa to ) -2 apano.n se ( duur kare hai ) -2
kaahe paise pe ...
sone-chaa.Ndii ke uu.Nche mahalo.n me.n
dard zyaadaa hai chain tho.Daa hai -2
is zamaane me.n paise vaalo.n ne
pyaar chhiinaa hai dil ko to.Daa hai -2
paise kii ahamiyat se to inkaar nahii.n hai
paisaa hii magar sab kuchh sarakaar nahii.n hai
insaa.N-insaa.N hai paisaa-paisaa hai
dil hamaaraa bhii tere jaisaa hai
hai bhalaa paisaa to buraa bhii hai
ye zahar bhii hai ye nashaa bhii hai -2
( ye nashaa ko_ii ) -2 dhokhaa zaruur kare hai
yahii paisaa to ...
are chale kahaa.N
ai paise se kyaa-kyaa tum yahaa.N Kariidoge
he dil Kariidoge yaa ke jaa.N Kariidoge
baazaaro.n me.n pyaar kahaa.N bikataa hai
dukaano.n pe yaar kahaa.N bikataa hai
phuul bik jaate hai.n Kushbuu bikatii nahii.n
jism bik jaate hai.n ruuh bikatii nahii.n
chain bikataa nahii.n Kvaab bikate nahii.n
dil ke aramaan betaab bikate nahii.n
are paise se kyaa-kyaa ...
( he in havaa_o.n kaa mol kyaa doge
in ghaTaa_o.n kaa mol kyaa doge
are in zamiino.n kaa mol ho shaayad
aasamaano.n kaa mol kyaa doge ) -2
paas paisaa hai to hai ye ( duniyaa hasii.n ) -2
ho zaruurat se zyaadaa to ( maano.n yaqii.n ) -2
( ye dimaaGo.n me.n ) -2 paidaa fituur kare hai
yahii paisaa to ...
|