giitaayan An Interface to ISB

mujhe chhuu rahii hai.n terii narm saa.Nse.n - Swayamvar (1980)  

Lyrics: Gulzar | Music: Rajesh Roshan | Singer(s): Rafi, Lata 
View in Nagari (Hindi)
rafii: mujhe chhuu rahii hai.n terii garm saa.Nse.n mere raat aur din mahakane lage hai.n lataa: terii narm saa.Nso.n ne aise chhuaa hai.n ke mere to paao.n bahakane lage hai.n rafii: labo.n se agar tum bulaa naa sako to nigaaho.n se tum naam lekar bulaa lo lataa: tumhaarii nigaahe.n bahut bolatii hai.n zaraa apanii aa.Nkho.n pe palake giraa do rafii: mujhe chhuu rahii hai.n terii garm saa.Nse.n mere raat aur din mahakane lage hai.n rafii: pataa chal gayaa hai ke ma.nzil kahaa.N hai chalo dil ke lambe safar pe chale.nge lataa: safar khatm kar de.nge ham to vahii.n par jahaa.N tak tumhaare kadam le chale.nge rafii: mujhe chhuu rahii hai.n terii garm saa.Nse.n mere raat aur din mahakane lage hai.n lataa: terii narm saa.Nso.n ne aise chhuuaa hai.n ke mere to paao.n bahakane lage hai.n ## Second version ## mujhe chhuu rahii hai.n, terii narm saa.Nse.n mere raat aur din mahakane lage hai.n jis dil me.n basate the, tuufaan ke baadal vahaa.N ab ishq ke, diye jal rahe hai.n gumaraah phirataa thaa mai.n, ek khoyaa paravaanaa tere dil kii shamaa ne maqsad diyaa mujh ko jo sapane the murdaa taariikii me.n khoe is mohabbat kii roshanii se, jiine lage hai.n kaa.NTo.n se bharaa thaa, ye safar meraa tere dam se gulaabo.n kaa, farsh bichh gayaa vo phuul jo kabhii bhii khil na sake the aaj shabanam kii badaulat, muskuraa rahe hai.n vaadaa hai ye meraa, na chho.Duu.Ngaa saath teraa marate dam tak teraa saath duu.Ngaa jis ruuh pe log taras khaate the aaj farishte bhii mujhase ishq karane lage hai.n mujhe chhuu rahii hai.n, terii narm saa.Nse.n mere raat aur din mahakane lage hai.n %
View the source file of the song for comments and contributor information.

Home - Submit a Song - Recently Posted Songs


vinay p jain. march 2013. giitaayan at gmail dot com. Disclaimer. ISB Copyright Notice.