giitaayan An Interface to ISB

dhu_aa.n dhu_aa.n dhu_aa.n hii dhu_aa.n - Mission Kashmir (2000)  

Lyrics: Rahat Indori | Music: Shankar-Ehsaan-Loy | Singer(s): Shankar Mahadevan, Chorus 
View in Nagari (Hindi)
dhu_aa.n dhu_aa.n dhu_aa.n dhu_aa.n dhu_aa.n dhu_aa.n dhu_aa.n hii dhu_aa.n ye saajishe.n dishaa_o.n kii ye saajishe.n havaa_o.n kii lahuluhaan ho ga_ii zamii.n ye devataa_o.n kii na sha.nkh kii sadaa_e.N hai.n na ab zadaa azaan kii nazar merii zamiin ko lagii hai aasamaan kii hai.n darabadar ye log kyuu.N jale hai.n kuchh makaa.n dhu_aa.n dhu_aa.n ... ye kisane aag Daal dii hai narm narm ghaas par likhaa hu_aa hai zi.ndagii yahaa.n har ek laash par ye takht kii la.Daa_ii hai ye kursiyo.n kii ja.ng hai ye begunaah khuun bhii siyaasato.n kaa ra.ng hai lakiir khii.nch dii ga_ii dilo.n ke darmiyaa.n dhu_aa.n dhu_aa.n ...
View the source file of the song for comments and contributor information.

Home - Submit a Song - Recently Posted Songs


vinay p jain. march 2013. giitaayan at gmail dot com. Disclaimer. ISB Copyright Notice.